Tu khud ki
khoj mein nikal
Tu
kis liye hataash hai
Tu chal, tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai
Samay ko bhi talaash hai
Jo tujh se lipti bediyaan
Samajh na in ko wastra tu (x2)
Ye bediyaan pighlaa ke
Bana le inko shastra tu
Bana le inko shastra tu
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai
Tu chal, tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai
Samay ko bhi talaash hai
Charitra jab pavitra hai
Toh kyun hai ye dasha teri (x2)
Ye paapiyon ko haq nahi
Ki lein pareeksha teri
Ki lein pareeksha teri..
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai
Tu chal, tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai
Jala ke bhasm kar use
Jo kroorta ka jaal hai (x2)
Tu aarti ki lau nahi
Tu kranti ki mashaal hai
Tu kranti ki mashaal hai
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai
Tu chal, tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai
Samay ko bhi talaash hai
Chunar uda ke dhwaj bana
Gagan bhi kapkaaega (x2)
Agar teri chunar giri
Toh ek bhukamp aayega
Ek bhukamp aayega
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai
Tu chal, tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai
Samay ko bhi talaash hai
Courtesy: Pink Movie ( Amitabh Bachan)
No comments:
Post a Comment